Skip to main content

Blog Aur Website Traffic Visitor Badhane Ki Tips Hindi Me

Sabase Bada Saval Hai : Apne Blog Website Traffic kaise Badhaye ? . Blog Ya Website Ban jata Hai Kuchh Hi Minito Me. Post Article Aap dal Dete hai Kuchh Hi ganto Me Lekin Traffic kaha Se Laye ? 70% Blogger ka Ye Saval Hai. Ek Din Tha Jab ye Mere Liye  Bhi  Ek Saval Hi Tha. 3-4 Saal ke Anubhav Ne Kuchh Tips Shikha Diye. Ab Mere Liye Traffic badhana Koi Saral Ho gaya hai.

Mere Kai friend hai Jo Blog Aur Website Banayi Hai, Lekin Website Traffic nahi La Sakate Hai. kai Bar Unho Ne Bhi Puchha hai ” Visitor kaise Badhaye ? “. paise kamane Ke Liye Blog Aur Website Banai hai To Traffic Lana Hi Padega…!!. Samaj Lo “SEO ” Ke bare Me Aap Aur Mai Kuchh jante Nahi hai, Aur Traffic badhana hai To Kya Kare ? ham Aapako Kuchh Tips Dete hai Jo Aapke Blog Aur Website Traffic – Visitor badhayenge.

Blog Aur Website Traffic Kaise Badhaye Tips Hindi ::

Blog Website ka Title :

Achchhi Kamai Ke Liye ” Google Search ” Se Traffic Aana jaruri hai. Aur Google Search Me Na jane Kitane Blog Aur Website Aur Usake  Kitane Word Hai Jo Hamre Blog Ya Website ka To Pata Hi Nahi Chalta. Isliye Aapke Blog Aur Website ka Title Sabse Juda ( Unique  ) Rakhe. Aapka Title Ka Word ( Shabd) Sabase Juda Aur Popular Bhi Hona Chaiye. Blog Ka Title lanba Rake. Blog Me Aap 100 characters ka Title Rakh Sakate Hai. Aap Settings Me Jake Set Kar Kakate Hai. Website ka Title Apni Site Ke HTMl Code Me Jake  Chagne kar Sakate Hai. ( Titel Aur Domein Name Alag Chij hai )

Ek Examlpe Dekhiye ::  Aapko Lanbe Title Ka Fayada Samaj Me Aa Jayega.

(1) Man Lo Meri  Website ka Title Only “ HindiHelpGuru ”  Hota To Jab Koi Hindi, Help, ya Guru Search Karata Tab Ye Tin Hi Word Wali Website Ke Result Unhe Mil Pate. Aur Aise To Kitane Result Honge. Ye Tin Hi Word Google Search Site Ke Liye Acept Karata.

(2) Ab Title Lanba Karte Hai . ” HindiHelpGuru.in :: Hindi Me Help – Internet ki Puri Jankari, Blogger Website Ki Tips “. Ab Ye  Hoga Ki hamare Title Ke Jyada Word Search Me Submit Hote Hai. Aur Ye Sare Word Dhudhne wale Aapni site Pe Aa Jayenge. Traffic badhega.

(3) Kisi Popular Website Ka Milata Zulata title Bhi Aap rakh Sakate hai. Wo Bhi Aapko Traffic badhane Me madad karega. Example : ” HindiMeHelp” Popular Word hai, Sabase Juda Bhi Hai. is jagah Aap ” HelpInHindi, HindiHelp4You, HelpforHindi ” aisa Title Rakh Sakate hai To Bhi Visitor Bdhate Hai.

Aapko Ye Bhi Padhna Chahiye : Blog – Website ka Content – Subject Kaisa Hona Chahiye

Sanaj Lo Aapne SMS-Shayari Ka Blog Banaya Hai. Ek SMS Ka Title Aapne ” Lave Sms ” rakha. Aur Aap Google Search me Dhundhege  Kah hai Mera ” Love SMs ” Aapko nahi Milega. Ab Iski Jagah ” Naye  Love SMS Shayari  Hindi 2016 For GirlFriend ” Ye Post ka Title rakhe. Kuchh Hi Dino me Ye Post Google Search Dikhne Lagegi. Aur Visitor Aapke Blog Me Aane lagenge.
In Sabaka Matlab Hai Ki Post Aricle Ka Title Bhi Sabase Juda Ho Aur Popular Bhi Hona Chahiye.

Content-Article  Ke Keyword :

Jyada Visitor Ko Aapke Blog tak lane Ke Liye Aapki post- Article Ke Word ka Bhi bahot mahatv hai. Google Search Me Jyada Search Honewale ( Popular ) Aur Kam Result Dikhane Wale Word Use kare. taki Aasani Se Google Search Aapke word Ko Saerch Rank De Kase. Aapke Blog Ko  1st Page Result Me la Sake.

Sosial Media Pe Share kare :

Website Traffic Badhane Ka Sabase Bada Rasta Hai Sosial Media. Vaha ham Kai Logo Se Jude hote Hai. apne Blog Aur Website Me Sosial Media Share Buttons ka Istemal kare. Visitor Share karega. Aap Ke Liye Bhi One Click Share karna Aasan Ho gayega. ” SEO ” kE Liye Ye Sabase Achchha Kadam Hai.

Sahi Samay Ko Traget Kare :

Aap Jo Article Aur Post Likhne Wale hai Usake Liye Sahi Samay Chune. Man Lo Aap ” Republic day ” Ke liye Aapki Site Blog Me Mp3 Songs ya Video Update kane Wale hai To 15 se 20  janyuari Me ApKe Songs ko Update kar Le. Ise Jayada Se Jyada Apane Friends Ko Sosial Media (Facebook, Whatsapp, Twitter, Google+ Me) Pe Share kare. Article ya Post Publish karne Ka  Ya Website Ko Updates Karne ka Bhi Ek Samay Nirdharit kare.  Aur Dekho Aapke Blog Site ka Traffic Kaise Badhane Lagata hai.

Mera Example : Maine ek Blog Banaya. ” whatsappMobi.blogspot.com ” Samay Holi Ke Tyohar ke Pahale ka Tha . Is Blog Me Maine ” Whatsapp Ke Status ” dalne ka Socha Tha. Maine Google Me Search Kiya ” Holi SMS ” . Bahot Sare result Aate The. Dusara Word Search kiya ” Dhuleti Status ” Kuchh Hi Kam result Aate The. hamne Post Bana li ” Dhuleti Whatsapp Status SMS Shayari Hindi Gujjarati ”  aur Publish kar Diya . Aricle popular Ho gaya. Holi Ke Din Hamne 3700 Se jyada PageView pa Liye.

Aaj Bhi Ye 1 St page Pe Aa raha Hai. Aap bhi ” Dhuleti Status ” Search karke Dekh Le. “Dhuleti Whatsapp Status SMS Shayari Hindi Gujjarati” Ye Result  hamare Hi  Blog Ka Link Hai. bad Me Kai Logo Ne Ise Copy karke aapne Blog Me rakha. Aur Usake Bhi Result Aane Lage, Lekin Hamare Result Ke Pichhe.

Comments